Monday, November 26, 2007

Farewll Moment : ISM, I miss you

Haste Gate ab to yaron apana ye din bit gaya,
kya khoya kya paya yaron ab to ISM chhut gaya.

> for institutes,>
Ghar se door ek ghar ko paya
Maa se door ek maa ko paya
har taraf tera pataka hum to ooncha rakhenge,
tera lal rang to mata apane lahu main daurenge
par teri gaud main meri maiya apana ye din bit gaya,
kya khoya kya paya yaron ab to ISM chhut gaya.

> for teachers,>
Tere hathon se humlog din-rat sanvarate rahe,
Tere gusse main bhi guru-var hum to pyar pate rahe,
Tere abhinay ko humlog jindagi bhar na bhul payenge
path jo tune padhayi hai use sine se lagayenge
tere pyar ki thapaki main ab apana ye din bit gaya,
kya khoya kya paya yaron ab to ISM chhut gaya.

> for juniors,>
Tum jo the to kabhi gam na hua,
Apana ye pyar bhi kabhi kam na hua,
Aate-jate dino main chhotu teri yaad satayegi,
Tum aao ya na aao teri yaadon ki barat to aayegi,
Aur jane anjane main tumko apani yaad bhi aayegi,
Tere pyar ki mithi chhanva main apana ye din bit gaya,
kya khoya kya paya yaron ab to ISM chhut gaya.

> for batchmates,>
4 sal hum sang-sang khele,
Sang-sang nache sang-sang jhume,
Har sukh aur har dukh ko humne miljul ke hai bant liya,
kathinayi ke chhanon main humne ekduje ka sath diya,
Ab jo khushiyan aayengi dil tujhako hi dhundhega,
Gam ki rat jo aayegi najaren tujhako hi payegi,
Dosti ki ye khunak chandani main apana ye din bit gaya,
kya khoya kya paya yaron ab to ISM chhut gaya.